"Kya LIC IPO delay hoga?"


Russia aur Ukraine war mai roz kuch na kuch naya ‘twists and turns’ dekhne ko mil raha hai – kabhi attacks ke roop mai, toh kabhi sanctions ke form mai. Sun ne mai aaya hai ki ab bullets aur bombs se hi nahi, dono desho mai cyber war bhi ho raha hai. Aur jis tarah iss war ki ghadi ghoom rahi hai kuch kaha nahi jaa sakta ki aage chal kar kya hoga especially economic front par – international trade toh bura phasa hai, aur saath hi down hain sabhi deshon ke market aur indexes.

India mai bhi market ko lekar kaafi khal-bali machi hui hai – NIFTY aur SENSEX ko lekar bhi aur uss-se bhi zyada desh ke sabse badde IPO ke timings ko leke. Waise toh hamare Finance Ministry aur FM Nirmala Sitharaman, dono ne hi kaha tha ki LIC apne scheduled time, yaane ki March 2022 mai aayega, lekin ab lag raha hai ki government bhi LIC IPO ko laane mai delay kar sakti hai. Well, kyunki ab ministry se ‘it can be postponed’ waale signals aana shuru ho gayein hain.

Lekin kya government aisa karegi? Kya government desh ke balance sheet ko nazar-andaz karke desh ke investors aur policyholders ke baare mai sochegi? Kya sach mai ministry ab LIC IPO ko strategically push karegi? Aayie chaliye dekhte hain -

Yadi aap bhi Demat and trading account open krna chahte hai LIC ke IPO me invest krne ke liye to click here.

So, What is Ministry’s Current Point of View on LIC Listing

War ke shuruwaat mai finance ministry aur finance minister kaafi optimistic the LIC IPO ke timings ko leke i.e., March 2022. Unhone bataya tha ki kaise koi delay ya postponement ki sambhawna nahi hai, lekin ab Nirmala Sitharamanji ne ek interview mai bataya, ki agar market mai war ke wajah se, aisa hi chaos raha, toh LIC IPO ke timings par ministry zaroor sochegi Jee haan, aisa hi statement diya hai Nirmala ji ne apne interview mai.

Unhone yeh bhi kaha ki, ideally toh March ke hisaab se hi, sab kuch plan kia tha, lekin agar global cheezon ke waajahse ek baar fir se timings ko ‘review’ karna padega toh woh zaroor dekhenge bhi aur uss hisaab se hi decisions bhi lenge.

Looks like, finance ministry ab dates aur timings ko leke pehle jaisi rigid nahi hai.

Kaafi investors, experts aur analysts ke liye, ye delay, koi positive signal se kam nahi. After all, majority ka yehi kehna tha ki, “LIC IPO is the right IPO to invest, but it is coming at a very wrong time.”

Ab sawaal yeh hai ki, agar March main nahi, toh kab aayega LIC ka IPO?

Agar government ne decide kiya situation ko review karne ka, toh obvious hai, ye IPO tab tak delay hoga jab tak hi global mahool thik na ho jaye aur market ek baar fir se puri tarah stable naa ho jaye. Ab ye toh nahi kaha jaa sakta ki Russia aur Ukraine mai kab samjhota ho, lekin, agar global cheezon ko consider karke LIC IPO ko delay kia, toh yeh ek lamba intezaar bhi ho sakta hai.

Iss wait se investor ko toh, koi loss nahi hai, lekin Indian government, jo LIC IPO ke zariye apna fiscal deficit ka target pura karna chah rahi thi, delay hone ke baad kar nahi payegi. Simple words mai kaho toh Indian government apna ‘expenditure aur revenue ka gap’ iss financial year mai 75,000 crores se kam nahi kar payegi, jo uss-se LIC ke IPO se milne waala tha.

Sources ke hisaab se LIC ke listings ko lekar iss week meeting hone waali hai aur shayad LIC ke IPO ko ek baar fir break maarna pade. Agar geopolitical situation stabilize nahi huye toh most probably India ke insurance giant ko listing mai aur kuch wakkt lage.

Waise analyst ke hisaab se delay is good, lekin aap ka kya opinion hai – Delay hona chahiye ya nahi?

Meanwhile, agar aap LIC policyholder hain aur IPO mai invest karne ka soch rahein hain toh apna Demat account jald se jald khol lein. Angel One mai aap apna all-in-one investment account bana sakte hain. In case, aapka account dormant ho gaya hai toh uss-se reactive kar lein - yaad rahe LIC policyholders aur employees dono ko hi discounted rate pe milenge LIC ke shares.

Open Demat and Trading Account

Post a Comment

0 Comments