"CCI ne Lagaya Fine 5 Tyre Companies pe, Cartelization Kya Hai? "


Anti-monopoly watchdog, Competition Commission of India (CCI) ne desh ke paanch bade tyre companies par Rs. 1,788 crore ka jurmaana lagaya hai. Jinn 5 tyre companies’ par jurmana lagaya hai unka naam hai - Apollo Tyres Ltd, MRF Ltd, CEAT Ltd, JK Tyre & Industries Ltd aur Birla Tyres Ltd. Iss jurmaane ka main reason hai Cartelization

 

Ab aap soch rahein honge, ki kya hai yeh cartelization jiske wajah se CCI ne ek nahi balki paanch tyre companies ko ek saath fine maara – aur wo bhi crores mai – aayie chaliye dekhte hain kya hai cartelization aur kya hai ye tyre manufacturers ka majra.

Agar aap chahte hain Demat and trading account open krna to yaha click kre.

Case ko samajh ne ke liye thoda sa past mai chalte hain

Yeh penalty ka Silsila aaj ka nahi hai balki August 2018 ka hai jab CCI ne –

MRF pe Rs 622.09 crore ka,

Apollo tyres pe Rs 425.53 crore ka,

JK Tyres pe Rs 309.95 crore ka,

CEAT pe Rs 252.16 crore ka aur

Birla Tyres pe 178.33 crore ka jurmana lagaya tha.

 

Iske alawa iss regulatory body ne Automotive Tyre Manufacturers Association (ATMA) pe bhi 8.4 lakh ka penalty lagaya tha.

 

CCI ke hisaab se inn paancho tyre companies ne saal 2011-12 mai ek kanoon toda tha – jisse hum ‘Competition Act, 2002’ ke naam se jaante hain. CCI ka kehna tha inn companies ne ‘Competition Act, 2002 ke section 3’ jo anti-competitive agreement ko rokta hai, usee violate kia tha.

Companies ne iss case ke against Madras Court mai bhi appeal ki thi jo abhi haali mai January 6 ko dismiss hui. Dismissal ke baad bhi companies ne haar nahi maani aur Supreme Court mai bhi appeal kiya, lekin January 28 ko ye appeal waahan bhi radd ho gayi.

 

Aap ko bata dun, ye case CCI ne ek reference ke basis pe initiate kia tha. Ye reference unhe Ministry of Corporate Affairs se aaya tha – Ministry ko ye reference All India Tyre Dealers Federation (AITDF) se aaya tha – inka kehna tha ki paancho company aur association ek saath milkar market mai production aur supply ko lekar control kar rahe hain.

Sabhi cheezon ko dekh kar CCI ne paancho tyres companies pe cartelization ka iljaam lagaya.

Toh kya Hai Ye Cartelization?

Cartelization ek illegal practise hai Jahan ‘ek’ industry ke rival companies aapas mai milte hain, meeting karte hain, ek dusre ke saath co-operate aur co-ordinate karte hain, sensitive-data bhi share karte hain aur fir collectively competition ko kam karke, prices ko decide karte hain aur profit increase karne ki yojana banate hai.

Sirf tyre companies pe hi nahi, cartelization ka accusations past mai kayi saari Indian companies pe laga hai – jaise ki –

Car making companies – Honda, Fiat, Volkswagen, Tata Motors, Maruti Suzuki,

E-commerce organizations – Amazon and Flipkart

iske alawa Google India ko bhi CCI ne anti-competitive, unfair aur restrictive trade practices ke liye pichle saal katghare mai liya tha.

In addition, saal 2018 mai CCI ne kariban 10 cement companies aur unke trade association Cement Manufacturing Association par bhi karodo ka penalty lagaya tha.

Ab Jab Penalty Lag Gaya Hai, Question Yeh Hai ki - Kya CCI ka Penalty Tyre Stocks Ko Effect Karega?

Well, penalty ka news aane ke baujud shares mai zyada major ups and downs nahi dikhai diye. Kariban 10 baje jahan Apollo Tyres aur MRF dono flat rate pe trade kar rahe the waahin baaki ke teeno share zyada nahi balki 1 se 2% se down the. Dekha jaye toh abhi bhi ye tyre shares zyada pressure mai nahi hain, lekin aage chalkar aa sakte hain.

Shocking baat yeh hai ki, ye koi pehli baar nahi hai jahan tyre companies ko CCI ne price-fixing aur anti-competitive practices ke liye penalty maara hai. Saal 2016 mai bhi CCI ne tyre manufacturers pe cartelisation ke liye penalties impose kia tha.

Aap dekh rahein hain ki kaise sabhi industry ke market leaders apni milli-bhagat se hum sabhi consumers ko kaise bewakoof banate hain. Kaise tyre ho, car ho, cement ho, ya fir paper manufacturing companies, kaise yeh koi na koi tarike se humein manipulate karne ke taalash mai rehte hain. Yahan tak ki beer companies bhi iss unfair game mai shaamil hai aur CCI se inhe bhi penalty padi hai.

Har business profit kamana chahta hai aur yeh koi buri baat nahi lekin jab market mai competitors ek saath milkar price-fix karte hain toh uska seedha asar buyers pe padta hai aur humein majburan uss daam par kharidhna hi padta hai. Just imagine market mai koi basic item ka price shoot ho gaya aur brand A ho ya B, C sabhi ka rate same ho aur kaafi high – toh kaise aam aadmi  kharidega apna saaman? Aur jab sab mille hue hain toh kaise aayenge naye innovative products aur manufacturers iss segment mai? Hai na Gambhir samasya? Lekin, achi baat yeh hai ki inn sabko rokne ke liye ek regulator body hai Competition Commission of India (CCI) aur umeed hai ki ye apna kaam karegi aur iss mal-practice se naa hi consumers ko balki businesses ko b hi protect karegi. 

Post a Comment

0 Comments