Mastercard ko RBI ne naye cards issue karne se rok diya hai.
Kya wajah hai iske peeche? Kya big tech companies jaise facebook, Google,
Amazon, twitter ke saath takkar lena bhari padega Indian Government and Indian
users ko? Ya fir 21st century me data slavery ek naye form of capitalism ko
create kar raha hai aur jiske niche saare developing nations aa rahe hian? Aur
isi ko rokne ke liye aise steps lene pe majboor ho rahi hai india, CHina,
Indonesia jaise countries? Acche se matter ko samajhiyega kyun ki aap ka future
is ke saath juda hua hai, aapka financial health bhi inhi big tech companies ke
saath juda hua hai. Video ko end tak dekhiyega, channel ko subscribe kijiye,
aur bell notification ko press kijiye.
Kya hai data
Localization rule
Ban ka primary reason hai data localization rules. Kya hai
ye rule? Kuch 3 saal pehle Indian govt. Ne aisa rule laaya ki koi bhi digital
financial corporation ko agar India me expansion ya business grow karna hai to
unko Indian users ka sensitive and financial data Indian datastores me hi save
karna hoga. Aur data ka koi copy foreign location me store nahi hoga.
Sawall ye hai ki International trade treaty ke mutabik
duniya me abhi open market hai, jisko GAT treaty kaha jaata tha aur jo 21st
century ke start me sign ki gayi thi, duniya ke alag alag deshon ne jab apna
market ko international, yaani primarily US and european businesses ke liye
khol diya tha. Is treaty ke andar digital data nahi aata, warna Indian
govenment aisa step nahi le sakti thi. Kyun ko wo International Trade treaty ko
breach karta. Lekin user data ka importanc dheere dheere sari duniya ko samajh
aaya hai. Ab aap puchenge ki bhai aapka daily ka data, matlab aapka search
pattern, aapka food order pattern, aapka messaging pattern, message frequency,
call frequency, ye sab data lekar koi digital company kya kar legi? Ab baat
karenge us baare me.
Data kyun sona hai?
Doston, pehle hi bata du ki data sona kyun hai. Terrabytes
of data koi kaam ka nahi agar us data ko sahi se use na kiya jaye. Data use
kaun karga? Aap hum nahi, machines karenge. Kaise? Machines ke liye data is
like food, aisa food jisse inka intellectual growth hota hai. Machine Learning,
neural Networks ka naam suna hoga aapne, uske saath saath Ai bhi aaj kal kaafi
charche me hain. Aap ko ye samajhna hoga ki AI systems are neural networks,
jinko alag alag tareeke se train kiya jaata hai, aur uske baad ye khud evolve
hote hai. Aur ye training kiya jaata hai data sets se. Ye data sets sab similar
nahi ho sakta, inme vcariety and uniqueness hona padega, ab itna unique data
set kaun banayeg? Jab free me 700 Billion humans ka data mil sakta hai to? Yahi
hai data ka necessity, ki is data ko use karke companies apne algorithms ko
train kar rahe hain, baad me usko monetize kar rahe hain matlab bech rahe
hai mehenge prices me. Aap sab ko pata
hai ki YouTube ka algorithm apne aap content recommend karta hai, koi isko control
nahi karta. Matlab ye sab automated tasks ko karne wale systems ko agar unique
data sets na mile to wo andhe aur lule ho jayenge. Isliye [bhookhe sher ki
tarah america ke Silicon valley ke tech companies logo ke data ke peeche pade
hain. Iska ye matlab nahi hai ki main aaj kaunsa biriyani khaya is data se
duniya badal jayega, lekin ye saare chote chote informations se hi, train ho
raha hai agla big AI revolution, aur usko lane wale neural networks.
Isme Mastercard ka
kya role hai?
Ye to gayi baat ke Data important kyun hai. Ab aate hai financial
market me. Normal user data to Google, Facebook, twitter jaise company track
kar hi rahe hai kyu ki system pe unka monopoly hai. Android and Apple OS ke
sivai koi aur mobile OS bhi nahi hai, to jab aap apne Android phone ke end user
agreement ko sign karte hain, tab aap apne data ke upar apna right kho dete
hain, agar phone use karna hai to koi option nahi hai. Yahi financial companies
ke case me abhi tak nahi hua hai kyun ki
waha sensitive information ke saath deal kiya jaata hai.
Isliye India, CHina, Indonesia ne apne financial data ko
apne hi desh me store karne ka rule laaya hai. Mastercard ne is rule ko ab tak
follow nahi kiya hai, halaaki maharashtra ke Pune me unka ek big data center
banane ka plan hai, lekin ab tak usme koi confirmation nahi aaya hai.
Isiliye Indian government ne Mastercard ko bola hai ki wo
koi naya card issue na kare. Isse RBL bank ko kaafi dhakka laga hai aur wo
filhaal apne existing systems ko Visa cards ke saath align kar rahe hain.
Doosre competitors ko bhi isse fayda pahuchne ke chances hai.
Lekin kya US, in decisions ko wapas lene ke liye push
karega? Kya koi global data sharing agreement banega jiske mutabik saare deshon
ko apna saara data kahi bhi store karne dene ke liye permission dena padgea?
Kyun aisa ho sakta
hain?
Data Centers ke location ke accha internet, fiber
connectivity aur Cloud services jaise Amazon, Google aur Microsoft ka
connectivity accha hona chahiye. Warna system delay, cost escalation hoga jiska
effect end users ko yaani mujhe aur aapko uthana padega.
Kya ane wale dino me aisa hone walaa hai? Kya india ka
booming card market is decision se affected hoga? Ye to time ho bol payega.
0 Comments