Mrs. Bector, Burger King, Jubilant foodworks,
in sab me kya common hai? Ye sab food speciality companies hai jinke IPO India
me launch ho chuke hai. Inhi ke raste par ek aur naya entrant hai jiska naam
hai Devyani International. Kya hai Devyani International? Karta kya hai? Sab
channel me aapko ye information mil jayega ki Devyani International India me
fast Food stores ka operator hai, lekin kya iske saath juda hua kuch aur bhi
hai jo aapke liye faydemand hoga? Devyani International IPO ke baare me saari baatein
main aaj bataunga aaj ke post me. Dhyan se post ko end tak read kriye, blog ko subscribe kijiyega .
Yadi ap bhi free me Demat and Trading account open karna chahte hai to Click Here
IPO
Details
IPO Open: |
04 August 2021 |
IPO Close: |
06 August 2021 |
IPO Size: |
Approx ₹1838 Crores |
Fresh Issue: |
Approx ₹440 Crores |
Offer for Sale: |
Approx ₹1398 Crores |
Face Value: |
₹1 Per Equity Share |
Price Band: |
₹86 to ₹90 Per Share |
Listing on: |
BSE & NSE |
Retail Portion: |
10% |
Equity: |
22,63,01,071 Shares |
Important
Details:
EPS for FY18-19 - Rs. (0.75) (Page #102 of
RHP)
EPS for FY19-20 - Rs. (1.14) (Page #102 of
RHP)
EPS for FY20-21 - Rs. (0.50) (Page #102 of
RHP)
RoNW for FY18-19 - (NA)% (Page #103 of RHP)
RoNW for FY19-20 - (NA)% (Page #103 of RHP)
RoNW for FY20-21 - (48.52)% (Page #103 of RHP)
NAV as on March 31, 2021 was Rs.1.03
Minimum Lot Size: |
Minimum 165 Shares |
Minimum Amount: |
₹14,850 |
Maximum Lot Size: |
Maximum 2145 Shares |
Maximum Amount: |
₹193,050 |
Open Free Demat and Trading Account
Devyani
International Company Financial Report
₹ in Crores |
|||||
|
Revenue |
Expense |
PAT |
|
|
2018 |
- |
- |
- |
|
|
2019 |
₹1198 |
₹1338 |
-₹59.29 |
|
|
2020 |
₹1535 |
₹1647 |
-₹78.75 |
|
|
2021 |
₹1324 |
₹1395 |
-₹81.32 |
|
|
Important Points
- Kya aap ko
pata hai ki Devyani international ke parent brand yani RJ Corp kis cheez
ke liye famous hai? Is complete brand ke owner hai Mr. Ravi Jaipuria. RJ
Corp famous hai duniya pe Pepsi ka second largest bottler ke hisab se.
Bottler matlab jo company pepsi cola ko India me bottle me daal ke bechta
hai. 1999 me US president George W Bush ke haathon se iske liye Ravi
Jaipuria ko Award bhi mil chuka hai aur Ravi ji India ke top 100
billionaire list me regularly feature karte rehte hain.
- Bottling
plant ka responsibility holder hai Varun beverages jo ek listed company
hai aur inke shares me regular steady growth dekha gaya hai. Devyani aur
Varun Ravi ji ke Beti aur beta hai aur inhi ke naam pe dono companies ka
naam rakhha gaya hai.
- Devyani
international India me 655 stores operate karta hai 155 indian cities me.
NIgeria aur nepal me bhi inka business operation hai. Ye company, as of
March 31, 2021, operated 264 KFC stores and 297 Pizza Hut stores across
India. Iske alava Costa Coffee ke bhi 44 stores hai inke paas all across
India me.
- Mrs Bector
ya Burger king ki tarah is company ka sabse bada strength hai iska segment
jo ek ,booming segment hai. Ye hai QSR yaani Quick Service Restaurant. Aaj
kal time kisi ke paas nahi hai aur isliye breakfast ho ya lunch ya dinner,
sabko fatafat chahiye. Yahi deliver karta hai QSR chains jisme Devyani
India me second number pe hai.
- Yahi segment
me competition bhi bahut tagda hai. McDOnald aur Burger king is space me
bahut kada competition dene wale hain KFC ke liye. SImilarly Dominoz ka
market share Pizza Hut se zyada hai aur pepsi hi India me Coca Cola brand
ke products ke muqable me kam hi chalti hai. Ya baat is company ke
fianacials me bhi clear hai jaha profit negative hai.
- Pandemic ke
wjah se lokdown aur uske wajah se business disruption ek bada reason ho
sakta hai in sab IPOs ke peeche. COmpany ke DRHP me officially bola hai ki
debt obligations and general corporate expenses ko meet karna IPO ka
primary target hai.
- Mrs Bector
ke listing ke baad 600 ke range niche aake abhi 15% girkar 428 ke aas paas
hai. Wahi Jubilant foodworks ne pichle 5 saalon me 543% returns iye hain.
Burger king ke shares ne pichle 6 mahine me 34% ka return diya hai. Ye sab
indicate isi taraf karta hai ki ye IPO bhi investor ko apna paisa return dene
ke kabil hai.
0 Comments