Vedanta Videocon Deal final, 95% Haircut for Videocon Creditors, Videocon shares to be delisted



Doston, aap sabko pata hoga DHFL naam ke company ke baare mein, us company me PM housing scheme ke premise pe, lagbhag 14000 Crore INR ka ghotala kiya tha, aur ye baat saamne aate hi company ke shares ekdam se niche aa gaye, aur fir company insolvency me chali gayi.

 

Venugopal Dhoot owned Videocon group ka history ekdam similar to nahi magar milta zaroor hai, aaj main aapko bataunga ke Videocon group kaise ek stable firm se insolvency proceedings me chali gayi? Vedanta group ka Videocon group ke bidding ke peeche kya reason hai? Aur Videocon shares ke saath kya hoga. Lekin uske liye post ko end tak read kijiyee, blog ko subscribe kijiye.

 Yadi ap free me demat account open krna chahte hai to yaha click kre.

 

Videocon Group kaise Insolvency me gayi?

Videocon group ne 2009 se leke 2011 tak ICICI bank ke paas 20 se bhi zyada projects me loan and funding ke liye apply kiya tha, in me se 8 projects pass hue the. ICICI bank ne Videocon group ko total 1875 crore ka loan sanction kiya tha. CBI probe me baad me pata chala ki ye saare loans Indian banks ke regulations ke tod ke diye gaye the. Is time par ICICI bank ke director the Chanda Kochar, unke husband Deepak kochar ko bhi is scam me chargesheet diya gaya aur arrets bhi kiya gaya. Case ye bataya gaya ki 1700 crore se bhi zyada is loan ko loan refinancing aur IMG ke help se alive rakhha gaya. Iske benefit ke hisaab se Deepak Kochar ko kickbacks mila. Ye Kickback, NuPower bolke ek company ko 64 crore ka loan tareeke se diya gaya. Is company me Deepak Kochar ka 50% stake hai. In saare news aane ke baad 1800 Crore ka Videocon ka loan poora NPA ban gaya, aur is baat ke saamne aate hi Videocon company ki shares ekdam se niche aa gaye. May 2017 me 100rs/ share me trade hone waali ye company ke shares abhi 7 rs/share ke bhaav me bik rahe hai, aur inki company bhi kauriyon me hi bik gayi hai.

 

Vedanta ka Acquisition

Vedanta ek mining based company hai, Videocon group ke paas 15 se zyada companies hai jo electronics se lekar oil and gas me bhi diversified hai. Vedanta ka interest hai Oil me. Andhra Pradesh ke Ravva Oil FIeld me Videocon group ka 25% stake hai. Waha par Cairn India ka 22.5% stake hai, jo Vedanta ka subsidiary hai. Videocon group Vedanta ke andar aati hai to total 47.5% stake ho jayega aur majority stakeholder se sirf 2.5% kam hoga. Yehi main intention hai Vedanta ka Videocon ke acquisition ke peeche, aisa experts ka kehna hai. Baaki videocon ke consumer goods and electronic business ka kya hoga, ye baat dekhne layak hogi, kya Vedanta us direction me move karega ya fir Sirf Oil vertical ko hi aage lega.

 Open Free Demat Account 

NCLT Ka Request

Maze ki baat ye hai ki ye acquisition ekdam clean and clear acquisition nahi hai. Videocon ke creditors ne claim kiya tha 71433.75 Crore as the valuation of the company, lekin court ne accept kiya 64838 Crore. Minimum insolvency bid, jo hidden and confidential hota hai, wo kareeb kareeb is total valuation ka 4-5% tha. Ab coincidence ye hai ki Vedanta group ke subsidiary ne quote kiya tha 2962 crore, jo is insolvency amount ke bahut ki paas tha. Isi wajah se NCLT ne ispe sawaal uthaya tha, lekin Supreme court ne is proceedings ko pass kar dene ke baad, NCLT ne ye request kiya hai acquiring parties ko, ki payout thoda bada diya jaye, kyun Videocon group me large number of MSMEs bhi hai. Aur NCLT ke is insolvency proceeding ke baad baaki businesses, jo insolvency ke liye appeal karenge, agar wo darr gaye aur process danger me aagaya to sarkar ne budget 22 me jo target rakha tha, wo complete nahi ho payega. Majboori yaha par hai, isiliye NCLT sirf request kar rahi hai, ki valuation thoda bada diya jaye. Ispar khabar aage aur aayegi.

 

Stocks ka kya hoga

DHFL ke saath jaisa hua tha, waisa hi hoga, stocks ki worth bilkul 0 hogi, fir company delist hogi, fir uske baad agar Vedanta board decision leti hai ki firse relaunch karna hai, kaunse verticle ko relaunch karna hai, uske baad shayad fir se company listed ho, lekin filhaal ye door ki baat dikh rahi hai.

 

Aksar, in cases me aisa hi hota hai, jab ek company scam karti hai, to uske worth ke saath, uske investors ka paisa bhi poora doob jaata hai, isliye saare investors ke liye ek hi salah hai, ki woh apna paisa kahi bhi lagane se pehle 10 baar soch lein.

 

 

 

Post a Comment

0 Comments