Pandemic ka doosra saal chal raha hai, India
me second wave ke wajah se economic tabahi ho chuki hai, death count gina ke
main aapka man bhari nahi karunga. Main aapko aaj ke video me ye bataunga ke
atmanirbhar kaise banna hai, ghar baithe income kaise karna hai Share Market
se. Jo log soch rahe hain ki yaar share market to gamble hai, mujhe kuch nahi
aata, agar paise doob gaye to kya hoga? Jo log ye soch ke is opportunity se
door bhag rahe hain\, special unhi ke liye aaj ka video hai, share market se
kaise kamai kar sakte hain, wo bhi bina koi economics ya financial course kiye
hue.
Step 1:
Open Demat Account
Bank me paisa jama karne ke liye sabse pehle
chahiye hota hai bank Account. Share Market me paisa kamane ke liye chahiye
Demat Account. Demat account kaha kholenge? Maine is Post me link diya hai
Angel Broking ka, Jo India ke Number 1 full service broker hai, discount
brokers aap ka account khol ne ke baad aapko handholding kar ke, aapka profit
karake nahi degi. Yahi kaam karega Angel Broking, kyun ki wo ek full service
broker hai. Angel Broking me 1 year AMC free, flat 20 Rs brokerage per deal ke
saath saath advanced technical solutions jaise Small Case, Smart API, Robo
Order with Award winning AI based ARQ system hai. Ye koi bhi beginner level ke
trader ko, uske income, age group, risk appetite ke hisab se uska portfolio
bana ke deta hai, taaki aapke trading journey ke start me, aap ko ek trusted
dost ka saath mile.yadi free me demat account open krna chahte h to niche diye link me click kre.
Step 2:
Choose your favorite stock
Demat account open karne ke baad bari aati hai
aapka first stock ki. Har investor ka koi ek sabse favorite stock hota hai.
Samajhiye ke apka favorite company hai Tata Motors. Ab tata motors ka
operational sector kya hai? Automobiles. Abhi aapko decide karna hai ki
Automobile sector me aapka interest hai, ya fir sirf Tata Motor me hai. Agar
sector me interest hai to fir aap pehle Automobile sector me saare listed
companies ko dekh sakte hain. Unme se jo top performers hai usko dhoondh ke
unka financial background check kar sakte hain. Aur agar aapko is sector me
interest nahi hai, magar banking me interest hai, ya fir koi ek doosra sector
me, to uske top listed companies ko dhoond sakte hain.
Matlab seedhi baat ye hai ki ek starting point
hona chahiye, aur wo starting point hoga apka sabse favorite brand. Usme invest
karenge ya nahi, ye baad me decide hoga, lekin search wahi se karna hai.
Step 3:
PErformance Analysis
Koi bhi stock ke upar aap short term ya long
term investment kar sakte hain. Short term investment ke liye aapka analysis
bahut strong hona padega. Long term ke liye aap asaani se market leaders jaise
Reliance, TCS, SBI, in sab pe invest kar sakte hai. Lekin ek bhi paisa lagane
se pehle aapko unka performance analysis karna padega. Ye kaam digital duniya
me sabse asaan hai, bahut saare financial websites hai jaise Investopedia,
Chittorgarh, Moneycontrol etc, jo neutral analysis karte hain aur har ek stock
aur har ek sector ke weakness and strengths ko simplied tareeke se mention
karte hain, Ye aapke bahut kaam aayenge. Iske siva, aapka broker aapko basic
advisory bhi bhejta rahega time to time jisse aap market ke fluctuations and
target price ke baare me informed rahenge.
Step 4:
Understanding your Risk Appetite
Sabse bada task yahi hai, jaha par aapko
samajhna hoga ke aapka investment karne ke peeche main reason kya hai. Agar aap
safety chahte hain, risk kam lena chahte ho to fir Mutual funds, SIPs, Gold
Bonds, etc aapke liye sahi hoga. Lekin agar aap risk leke heavy returns chahte
hai to fir intraday trading, FnO trading etc, commodity trading, money market
me paisa laga sakte hain. Lekin commodity trading jaise Oil, Agricultural
products pe trade karne ke liye bahut zyada experience and capital strength ki
zaroorat hoti hai. To agar aapke paas ye na ho to fir day trading and FnO trading
ek bahut accha option hai aapke liye.
Step 5:
DIversified investment
Ye baat
chote bade har investor ko dhyan me rakhni chahiye, ki kabhi bhi kitna bhi
accha information aapke paas ho, magar ek stock pe ya ek fund pe apna poora
investment nahi lagana hai.
Free Demat Account Opening Link
Step 6:
Identifying Multibagger Stocks
Rakesh Jhunjhunwala ya Warren Buffett ka naam
jinhone suna hai unko pata hai ki inhone multibagger stocks ko sahi tareeke se
identify kiya tha, aur yahi wajah se ye aaj multi millionaires hai. Aap bhi
penny stocks ke upar research karke aise multibagger stocks to dhhond sakte
hain, aur inpe thoda thoda invest kar sakte hain. Kya pata, agla crorepati wala
number aap ka hi ho.
To doston aise hi ghar baithe apne paison ko
kaam par lagaiye, sahi stocks options choose kijiye, diversified tareeke se
investment kijiye, aur aapne aankh khule rakhiye koi bhi naye opportunity ke
liye.
0 Comments