5G News |
Train, bus ya ghar keandar, aap phone pe baat kar
rahe hain, aur achank network break hota hai,phone me azaaz ke jagah pe noise
sunai deta hai, phone pe gussa nikal ne ke liye apa usko patak dete hain, aur
isi ke saath us phone ka khel samapt hota hai, aur ek naya phone aapke ghar
mehman banke aa jaata hai. Lekin network problem kabhi solve nahi hota, ya
kahani desh ke har ghar, gaao, bus stand, airport me hai. Halat aisa hai ki log
phone pe baat karte waqt ye bhul jaate hain ki kaha hai, aur jaana kaha hai.
Iska gehra rishta hai spectrum allocation ke saath. Kyun? Kyun ki Telecom
companies ko mobile spectrum, yaani frequency band allocate kiya jaata hai,
sarkar ke taraf se. Usi frequency band me mobile phones ke signal operate karte
hai, ab jitna zyada user base, utna zyada bandwidth chahiye, bandwidth matlab
samajhiye ki 10 buses ko ek saath road pe chalna ho to aapko 10 lane waali
sadak chahiye. Lekin desh me sirf 2 lane ki mobile sadak hai. Aur yahi reason
hai ki Vodafone se leke AIrtel, aur Jio ka Network bhi beech beech me gayab ho
jaata hai. Aaj ke post me main aapko aise acche din ke sapne dikhaunga, jisme
aap chahe subway ke andar hi kyun na ho, ya train se chahe koi jungle ya
pahadon me travel hi kyun na kar rahe ho, lekin aapka mobile internet band nahi
hoga. Elon Musk, Mukesh Ambanika Jio, Airtel, aur Vodafone ne kamar kas liya
hai, aapke mobile ke data ko band nahi hone dene ki. To post ko end tak
dekhiye, kaafi sare easter eggs milenge aapko, aur uske saath saath Blog ko
subscribe bhi kijiye.
Spectrum Allocation - Airtel bana bada khiladi
Pichle kaafi dino se, Airtel ne Jio ke naak me dam kar rakhha hai, zyada subscriber growth, better 4G service aise kayi mamle me Airtel Aage hai. Is baar Indian Government ke spectrum allocation me bhi Airtel sabse pehla Goal maara aur uska announcement bhi direct kiya. Airtel ne 18699 Crore INR se 355.45 MHz ke spectrum khareede hain. Ye spectrum 800 MHz se lekar 2400 MHz tak ke beech me hain. Iska matlab kya hai? Seedhe shabdon me bola jai to is spectrum me Airtel ne isliye paisa lagaya hai kyun ki ye indoor reception accha deti hai. Mountains, rough terrain, forest area me behtar penetrate karti hai. Aur yahi reason hai ki Airtel ne bada announcement karke ye kaha hai ki is spectrum ke kharidari se wo aane waale dino me India ke number 1 4G and 5G provider banenge. Halaaki 5G ka spectrum band alag hai, lekin filhal 2021 me Airtel in spectrum se hi 5G ka testing chalu kar raha hai.
Ye to hua news announcement, lekin ab samajhte hain ki ek time pe jo itne saare mobile operators the, sasta call rate de rahe the, unka kya hua? Bahut accha network ke time se hum kaise is bad network coverage zone me aa gaye.
Aap sabko 2G spectrum allocation scam yaad hoga. Usme charge ye tha ki kam daam me commission khake scpectrums ko bech diya gaya hai. Yaani agar usko zyada daam me becha jaata, to 12000 guna zyada profit hota. Ya nahi hua tha, isiliye scam hai, kyun ki sarkar ke income me loss hua hai.
Ab jab nayi sarkar aayi, to scam accused ko to khass kuch hua nahi, lekin spectrum sarkar ne wapas le liya. Yaani 4 lane highway to 2 lane bana diya gaya, jinhone kam paise me wo spectrum liya tha, wo bankrupt ho gaye, Uninor, RCOm ka naam to sabko pata hi hoga. Aur sarkar ne baad me usi spectrum ko zyada daam me becha. Jisko Bade player, jaise Mukesh Ambani ne 3G launch ke time khareeda, aur free me internet deke desh ka man dhan dhana dhan dhan kar diya.
Isi tareeke se is baar 5G ka spectrum allocation ho raha hai. Aur isi me Airtel ne pehli baazi maari. Halaaki 700 Mhz ke ass pass ke band me sarkar ne abhi bhi price itna chadha rakhha hai, ki uspe koi bid nahi aaya. Yaani ek ghar khali pada hai, lekin makaan malik itne paise maang raha hai ki koi ghar le nahi paa raha, jaise Mumbai and metros ke real Estate industry ka scene hai.
Elon Musk Starlink
Isi beech US ke Billionaire Elon Musk ki company Starlink ne India me apna satellite internet launch ka plan announce kar diya hai. Ye ek anokha inyernet provider hai jo space me orbiting satellites ke zarie high speed internet provide karega. Ab samajh ljiye ke iske fayde kya kya honge
1. 2021 ke end tak 12000 satellites space me low earth orbits pe honge, ye 300 MBPS ke speed se internet service provide karega.
2. Filhaal ye Beta phase me hai,yaani sirf first come first serve basis pe connection diya jayega
3. Starlink ke priority me pehle metros honge, baad me poore desh me coverage milega
4. Starlink ke website me jaake online apply karna hoga, $99 ka deposit fee hai, jo reundable hai, ye cost hai equipment ka jo starlink aapke ghar me install karke jayega. Agar aapko pasand nahi aaya to aap return kar sakte hain
Ab ek baat samajh lete hain, 5G ka frequency range hai 28Ghz se upar ka, aur speed hai 10GBPS se leke 100 GBPS ka. Waha par Starlink bol raha hai max 300 Mbps ka. To isme fayda kya hai. Fayda ye hai ki ye satellite se direct aayega aapke ghar me, yaani beech me kuch kharab hone ka tension nahi, aur koi bhi locality ho, gaaon, gali ya pahad me, sab jagah ye internet assani se pahuch sakta hai, kyun ke upar se beam kiya jayega.
Kya iska environment pe kuch effect hoga? Har din agar aap milimeter wave frequency radiation ko face karte hain to kya cancer jaise beemari badhne ke chances hai? Is par koi independent study ab tak nahi ki gayi hai. Kyun ki bahut saara paisa involved hai is poore project me, aur koi nahi chahta ke is 5G ke baare me koi bhi negative news aaye. Lekin aane waale dino me humari duniya shayad bilkul hi alag dikhegi, wo duniya kaisi hogi, ye jaan ne ke liye hume intezaar hi karna parega.
0 Comments