Gautam Adani Ki Kahani | Commodity Trader se Kaise bane India ka second richest person?


Doston hum sab ko kabhi na kabhi aise kuch motivational stories ki zaroorat hoti hai jo humko life me aage jaane ka inspiration de, agar aise story ka hero aur koi nahi magar Gautam Adani ho, jinka Adani enterprises aaj desh aur duniya ka one of the bigeest and fastest growing business houses me se ek hai, to fir wo story hamesha special hi hoti hai. Is story me sirf motivation nahi, magar thrill aur danger bhi hai, bilkul ek bollywood masala movie me jaise hota hai waise, kya aapko pata hai ki Gautam Adani ko kidnap kiya gaya tha ransom ke liye? Kya aapko pata hai ki Gautam Adani 26/11 Mumbai attack ke dauran taj hotel me the aur unhone ye attack survive kiya, maut ko aapne aankhon ke samne dekha? In sab ke baad bhi unka business acumen ke wajah se aur unke will power ke wajah se aaj, Adani Enterprises desh ka doosra sabse bada business house hai. Agar aapko aisa lag raha hai ki aapke zindagi me bhi bahut kuch sahi nahi jaa raha, agar aap demotivated hai, to is post ko end tak zarorr Read kriye, main gurantee deta hu ki post ke end tak aapko sirf motivation hi nahi, balki naya energy milega. 

 

Ahmedabad se Australia
Jaise bahut saare legends ke saath aur bhi hua hai, gautam Adani bhi college ke course ko poora kiye bina hi dropout kar gaye the. 1980’s me wo Mumbai aaye the Diamonds me trade karne ke liye. Uske baad wo Ahmedabad a  gaye aur apne bhai ke Plastic - VInyl factory me kuch dino tak business kiya, uske baad unhone Adani Enterprises ke naam se, ek commidity trading company khol liya 1988 me. Ye aaj bhi group ka flagship brand hai. Iske 10 saal baad, Gautam Adani ne Gujarat ke Mundra port ko operate karna shuru kiya, ye waqt tha Gujrat ke tabke CM aur aaj ke desh ke PM Narendra Modi ka, usi wqt Modi ji ne homegrown business owners ko bahut saare aise unique opportunities diya tha jiske zariye Indian business owners apna business ko badha paye the. Isi ka fayda Gautam Adani ko bhi mila tha jab wo Mundra port ko fuly privatized port banane me successful rahe, aur yahi se unka success story shuru hua. Iske baad Adani ka business Coal and Mining industry me diversify hua, aur bhi naye naye industrial sector me Gautam Adani ne apna haath azmaya. Renewable energy ek aisa area tha jaha par competitors kaafi kam the aur iska future bahut hi bright hai, Indian Government, with PM modi on power, 2014 ke baad se renewable energy ke expansion me bahut hi active hai, isi ka fayda mila hai Adani Green ENrgy Limited (AGEL) ko. AGEL ne bahut saare multimillion dollar deals close kiya hai aur Silicon valley ka bade bade tech companies ne bhi unke venture me invest kiya hai. Gautam Adani ke Australian COal mining and Thermal Power Plant ka business ek bahut bada venture tha jo recently under pressure aaya hai environmental reasons ki wajah se. Isse pehle bhi Adani ke oil exploration business ko kaafi problems ka saamna karna pada hai Coral Reefs ko damage karne ke charges ke wajah se. Australian Thermal Power station project me abhi bhi problems face kar rahi hai Adani group, aapne recent India Australia cricket match me bhi notice kiya hoga potestors ko, jo ground pe plackard leke aa gaye the. Isi project me atke hue Adani ne Apne Australian Mining company ka naam bhi rebranding kiya hai taaki is controversy se chutkara mil sake. Lekin ab tak is problem ka solution nahi hua hai. Industry experts ka maan na hai ki Australian Coal mines se milne waale coal ki purity kaafi acchi hai aur isse polution kaafi had tak kam hoga. Kya ye report is project ko aage badha payega ye dekhne waali bat hogi. 


Personal Tragedies
Har business me hazaron dikkat aati hai, aur uska hal bhi nikal ta hai, business ka rule hi ye hai. Lekin Personal tragedies bhi agar uske saath aye to un troubles ko handle karna aur bhi difficult ho jaata hai. Aise kuch tragedies Gautam Adani ke saath bhi hue hai jo unki zindagi ko ek bollywood movie se bhi masaledaar banata hai. Gautam Adani ka Adani Exports Ltd jab kaafi naam kama rahi thi, usi waqt, 1998 me, Gautam Adani aur Shantilal Patel ko kidnap kar liya gaya tha gunpoint me. Ye dono Karnavati CLub se Gaadi me nikle the aur Mohammadpura ki taraf jaa rahe the jab inke car ko ek scooter ne roka aur gun point me inko kidnapkar liya gaya. $1.5 Milion ka ransome maanga gaya inke release ke liye aur baad me inko chor diya gaya. Gautam Adani is incident ke baare me bahut zyada baat nahi karte hain. Halaaki is incident ke main do accussed FazluRehman aur Bhogilaal Darji alias Mama ko Ahmedabad police ne pakda tha, lekin 2018 me in dono ko release kar diya gaya ye kehkeki inke khilaaf koi zyada saboot nahi hai presecution ke paas. 

Sirf ye hi ek incident nahi, inke saath doosra bhayanak incident tab hua jab 2008 ke Mumbai attack me 26th November ko Gautam Adani, Taj HOtel ke Weather Craft restaurant me, Dubai Port ke CEO Mohammed Saraf ke saath dinner rahe the, aur usi waqt terrorists ne waha attack kiya, logo ko hostage banaya aur 160 logo ki jaan gayi isincident me. Gautam Adani ne jab Terrorists ko Taj hotel ke lobby se andar aate aur goli chalate aur granades launch karte hue dekha,to hotel staff ki madad se wo Tajhotel ke basement me chale gaye jaha 100 log aur bhi the. 26th November ki poori raat wo taj ke basement me rahe, fir 27th yaani Thursday ke morning ko Jab commandoes ne enter kiya Taj premises me, tab basement se back gate ke zariye wo bahar aaye, aur private jet se Ahmedabad airport pahuche. Unko jab iske bare me poocha gaya to unhone ye kaha ki unhone 15 feet ke distance me maut ko dekha hai aur ye kabhi bhoola nahi jaa sakta. 

In personal tragedies ko sambhalna mushkil hota hai, Lekin Gautam Adani ne sirf isko sambhala hi nahin, balki apne business me aur bhi tarakki ki. COrona Pandemic me jab saare doosre business band ho rahe the, usi waqt, Adani business house ne record prodit kamaya, Adani Green Energy Limited ne record $6 billion ka solar power deal kiya, aur 2025 tak solar power setor me AGEL sabse badi company ban sakti hai. 

Aise hi mushkilo ka saamna karke hi success milta hai, aur yahi aap sabko yaad rakhna hai doston, mushkil kabhi jaane waali nahi hai, aaj ek gayi to kalek aayegi, lekin apne upar bharosa karke aage badhte rehna hai. Yehi success pane ka ek formula hai. Agar aapko aaj ka motvational post accha laga to please Blog ko subscribe kijiye, post ko like and share kijiye. 


Post a Comment

0 Comments