21st december ko badi khabar ye aayi ke Future Retail aur Amazon ke beech chal rahi fiht m future retail ko ek bada dhakka mila hai. Ye case ek lamba chalne waala case baane waala hai jiska start hua tha jab Future group ne Reliance ke saath deal tha apna poora retail business unok bech kar. Amazon, jisne Future group ke 50 ke asspass unlisted companies ko khareeda tha, wo is deal se khush nahi the aur unka kehna ye tha ki ye deal unke deal ke legalities ko breach karta hai, Amazon ka kehna tha ki Amazon aur Future retail ke deal ke hisaab se Right to first refusal sabse pehle Amazon ke paas hona chahiye tha, yaani Reliance ke jagah Amazon ke saath Future Retail ka deal hona chahiye tha, lekin aisa hua nahi. Aur isiliye Amazon ne Singapore ke court of arbitration me pehle case kiya jisne unhone Reliance Future deal ko invalid kaha.Singapore ke court ne is deal ko rokne ka order diya. Lekin Reliance aur Future group ne iske immediate baad kaha ki Singapore ke court of Arbitration ka Is case me India ke andar koi jurusdiction nahi hai,aur deal age badhegi. Is ke baad Future group ne Indian court me ek case kiya jisme unhone kaha ki Amazon ko is case me kuch kehne ka right nahi diya jaye. Lekin aisa hua nahi aur Indian court 21st December ke verdict me kaha ki Amazonko apna side rakhne ka right hai aur ye ek jhatka mila Future Group ko. Shayad ye case bahut lamba chalega aur isme aur bhi bahut saare verdicts and counter verdicts aayenge, agar koi ek side jeet bhi jaata hai to higher court me appeal hoga aur jab tak ek final samjhota nahi hota, yaani off the court koi ek resolution nahi pass hota tab tak ye mamla halta rahega aisa lag raha hai. Lekin isse Future group ko jitna impact hoga unke valuations kojitna effect hoga utna zyada shayad Ril ko impact nahi hoga, RIL ek badi haathi hai jiske shares pe ye ek chota blip jaisa hoga aur koi bada impact shayad isse naho. Lekin court me ye case ek lamba chalne waala mamla lag raha hai.
Yadi Avi tak apka Demat and Trading Account Open nhi h to Free me account Open krne ke liye Click Here
0 Comments