Grey Market premium kya hai? |
Doston, share market me jo log naye hain, wo hamesha hi ek term sunte hain, IPO aur Grey Market Premium. Bahut log confused rehte hain ki kya hai ye Grey Market premium aur isse kya hota hai. Bahut log is naam se pareshan hai ki kya ye illegal hai isliye Grey kaha jaa raha hai? Kuch logo ko ye bhi lagta hai ki ye ek tareeke ka betting hai, aise bahut saari confusion ke beech me asli Grey Markt premium ka meaning kho jaata hai aur log apna apna definition bana lete hain. Aajke post me main aapko ye bataunga ki Grey Market Premium kya hota hai aur Grey market Premium se kaise aap share listing se pehle uska listing gain ya los ke baare me andaaza laga sakte hain. To ye sab information jaan ne ke liye poora post end tak read kriye aur blog ko zaroor subscribe kijiye.
Agar aap ko ghar baithe paisa kamana hai aur Share Market me trading karna hai to aapke liye best option hai Angel Broking ka demat account. Yahan aapko pehla saal account maintenance charges free milega, minimum broking charges of flat 20 INR/ Deal, aur uske saath aapko milega specialzed Robo Order ki facility, jiske zariye aap Angel broking ka special Articificial Intelligence Driven predictive analytics system ka faida le sakte hain. ye aapke age, salary, aapka preferences ke hisaab se aapko bata dega ki kaunse stocks ya investment plan aapke liye bilkul sahi hoga. Iske alava, Angel Broking India ka no 1 full service broker hai, jiska matlab ye hai ki aap ko special advisories and portfolio managers jaise alag alag advantages milenge. TO der na karie aur description me diye gaye link par click karke aaj hi Angel Broking me apna free demat account kholiye. Click Here For free account opening at Angel Broking
Grey Market premium ka sach
Doston duniya me sirf do color yaani Black and WHite hi nahi hota, magar bahut sare aur bhi colors hai jisme se ekhai Grey. Naam grey hone koi kharab nahi ho jaata ya fir aisa kahe ki badnaam nahi ho jaata. Koi bhi company jab apna Initial public offering laati hai yaani IPO to uska ek issue date hota hai jab wo company ke shares ko public ko sell karne ka initkial offer deti hai. Isme log application karte hai, company ke fix kiye gaye issue price me ye applications jaati hai, fixed shares ka size hota hai jisme aapko ye application karna hota hai. Uske baad ye Shares allotment hoti hai consumers ko aur clients ko, aur fir wo shares exchange me list hota hai. Is poore process ke beech me ek time aisa bhi aata hai jab shares offer ho chuke hote hai magar listed nahi hone me thoda timerehta hai. Isi time pe off the table, in shares ka buying or selling hota hai, jisme koi exchange involved nahi hota, ye buying or selling SEBI ya koi bhi exchange ke dwara regulated bhi nahi hota. Isme koi company ya individual apne contacts ke through alott hue shares ko khareed te hai ya bechte hain. Ab samajh lijiye ke koi company ke shares ka issue price tha 100 Rs/Share, aur usko Grey Market me 20 rs premium me deal kiya jaa raha hai, uska ye matlab hota hai ki wo shares 120 rs/ Share ke price me bik raha hai. Ye price kaise fix hota hai iska ek chota example main aapko dunga, lekin ye jo 100 rs ka share 120 rs me bik raha hi, isi ko kehte hai Grey market premium ya fir GMP. Aur normally hota iase hai ki agar koi share ka Grey Market premium 20 rs ho to wo share 120 rs par hi listed hota hai.To ye GMP ek indicator hai ki shares me listing gain hoga ya fir loss hoga. Ab aayie GMP ke baare me kuch baatein jaan lete hain.
GMP aur Kostak rate ke baare me kuch baatein
Kostak rate wo cheez hai ki agar aap apne IPO ke application ko hi kisi inividual ya company ko bech dete ho to uska jo rate hai usko Kostak rate bolte hain. Agar aapne kisiko aapke 5 IPO aaplication becha hai, aur aapko sirf 2 application hi allot hue hai, to fir bhi aapko poora profit milta hai. Aur aapke alott kiye gaye shares mese jo profit hoga o bhi aapko aapke application ke buyer ko dena padega. To isi tareekese list hone se pehle shares ko trade karne ka do tareeka hai
1. Aap apne IPO shares ko Grey market me buy and sell kar sakte hain
2. Aap IPO application buy or sell kar sakte hain
Grey market ke saath official IPO market ka koi rishta nahi hai kyun ki grey market over the counter diye gaye khule dawai ki tarah hoti hai jiska koi regulation nahi hai. Isliye ye bilkul hi unofficial hai.
Dhyan me rakhna bahut zaroori hai ki ye poora mamla shuru hota hai IPO ke application ka date band hone ke baad. Koi seller apne IPO application ko sell karne ke liye grey market ke dealer ke pass jaata hai. Ye grey market dealers apne khud ke experience, company ka technical analysis aur baaki indicators ko dhyan me rakhte hue ek Grey Market Premium fix karte hain, ye kabhi issue price se zyada hota hai, kabhi issue price se kam hota hai. Lekin most of the times, ye guess sahi hota hai kyun ki inke analysis pakke technical grounds pe hote hain. Aise hi ek Grey Market Price fix hone ke baad ek document ya sale deed bheja jaata hai delaer ke taraf se seller ko, is deed ke mutabik, seller ko agar shares allot hota hai to wo dealer keinstructions ke hisaab se usko bechenga ya fir shares ko kisi doosre demat account me transfer karega. Matlab ekbar ye grey market pe sale hone ke baad shares ka ownership dealer ke pas chala jaata hai. Lekin agar shares allot nahi hue, to fir ye agreement null and void hota hai bina kisi settlement ke, yaani koi bhi paise ka adan pradaan nahi hota.
Bahut log poochte hai ki kya ye transaction taxable hai? TO ye bilkul taxable hai, Short term capital gains tax ke andar ye deal aa jaata hai aur aapko is deal ke profit amount pe tax dena hota hai.
0 Comments