Multicap Funds pe SEBI Ka Naya Circular, Kya mid cap and Small cap funds ko hoga fayda?

 


Multicap Funds pe SEBI Ka Naya Circular
Multicap Funds pe SEBI Ka Naya Circular



Securities and Exchange Board of India yaani SEBI ne 11th September ko kuch aisa circular laaya hai ki Indian Fund managers me ekdam se hulchul ho gaya hai, sab log pareshaan hai ki kya hoga is naye circular ke wajah se. Isse pehele SEBI ne margin pledge system me kuch aisa badlaav kiya tha ke brokers and clients dono me confusion kaafi badh gaya tha. Aaj is video pe, main aapko samjhaunga ke ye poora SEBI ka circular ka main funda kya hai, agar aap ka fund manager isko follow karega to kya effect ho sakta hai? Aur kya is circular se aapko tension lene ki koi zaroorat hai? Lekin poora post end tak read kriye aur blog ko subscribe zaroor kijiye

 

 

Kya hai Multicap Funds?

Doston sabse pehle samajhiye ki Multicap Funds hota kya hai, seedhe shabdon me batau to ye aisa fund hai jo market capitalization ke upar depend na karke, market value aur funds ke quality ko dekhte hue, large cap, mid cap ya small cap, koi bhi funds me invest kar sakta hai. Iska matlab hai ki ye ek diversified portfolio banane ke liye behtareen fund hai, ye fir keh sakte hai ki Multicap Funds, diversified portfolio me invest karne ke liye ek behtareen zariya tha, lekin SEBI ke circular ke baad ye shayad sach na re. Kyun?

 

Kyun ki aap sabko pata hai ki agar aap risk leke trading karna chahte hai to aap pure mid cap ya pure small cap funds me invest karte hai, lekin market me bahut saare log hai jo future ke security ko dimaag me rakhte hue risk less investment karna chahte hai, unke liye multicap fundsbest hai. Kyun ki ab tak Multi cap fund managers ke pass ye power hua karta tha ke wo market value, profit and loss ko dhyaan me rakhte hue, apne investment ko kisi bhi ratio me kar sakta hai. Yaani chahe ho 90% large cap me lagaye, ya fir 40% large cap me, 40% mid cap me aur 20% small cap me. Bolne ka matlab ye hai ki ye poora decision tha FUdn managers ke haathon me. Lekin ab aisa nahi raha, 11th september ke baad se.

 

SEBI ka circular ka sach

SEBI ke circular me ye bola gaya hai ki Multicap fund managers ko, aage se 25% karke investment karna padega Small cap, mid cap aur large cap companies me. Total hua 75%. Baaki 25% wo kahi bhi invest kar sakte hai.

 

Sawaal ye hai ki ye kabse chalu hoga, jawaab hai ki January 2021 me fund categories ka ek list publish kiya jayega, uske ek mahine ke andar is processko chalu karna padega.

 

Doosra bada sawaal hai ke kya isse small and mid caps ko hepnahi hoga? Kyun isko sirf negative ke tareeke se dekha jaa raha hai?

 

Jawab ye hai ki agar aaj aap market me jaate hai aur aapke paas khuli choot hai ki aap kisi bhi dukaan se koi bi samaan kharid sakte hain, to aaap hamesha apna munafa dekhenge aur jis dukaan se jo samaan sabse saasta mile wahi se kharidenge. Isme consumer ki bachat hai. Is system se dukaano ke beech competitive mentality bhi aata hai taaki wo apne products ko aur interesting banaye aur ye poora exercise hi market ko aage badhata hai. Purana multicap system kuch aisa hi tha. Ab dekhte hai naya system kaisa hoga.

 

Ab sochiye ke agar aap bazaar me gaye aur ek board kagaya gaya market management ke taraf se ke aap jo kuch bhi kharidenge wo saare dukaan se barabar hisse me kharidna padega, matlab jo aapko suit kare wo nahi, magar jo market tai karegi, waisa aapko kharidna hai. Iska matlab aapka choosing capability chala gaya aur aap most certainly loss me run karenge. Kyun ki ye system dukaan daaro ko favor kar raha hai, unke products ko improve karne ka incentives nahi de raha hai auraapsse zabardasti kuch aise samaan kharidwa raha hai, jo shayad aap apne dil se na kharidte.

 

Yehi hai SEBI ka naya circular ka seedha meaning. Multicap fund managers ko ab small and medium cap funds me 25% karke paisa lagana padega, ye news aate hi small and medium capsfunds ka price upar jaane laga hai, matlab aane waale dino me Multicap fund managers ko zyada paisa deke chote funds kharidna hoga. Iske wajah se broad level pe kiska investment ka value girega? Aapka, ye hai seedha jawab. To kya isse bachne ka koi raasta nahi? Sarkar ya SEBI aisa kyun kar rahi hai? Common investors pe corona ke baad se ek ke baad ekhamla ho raha hai, kya matlab hai iska?

 

Kya isse bacha jaa sakta hai?

Sabse important baat yaha par ye hai ke 2021 ke january me funds ko recategorize kiya jayega. Ab us time pe ye kaha jaa raha hai ke Large and Midcap Funds type ka kuch category nikala jayega jisme purane multicap jaise facilities and freedom hongi. Us time par fund managers ko apna title change karna padega aur wo apna portfolio bina badle carry forward kar sakenge. Ye ek asaan tareeka ho sakta hai. Lekin agar aisa na hua, aur zyada daam me chote funds ko lene pe majboor kiya gaya to funds exit ka raasta le sakte hai aur investors apna paisa redeem kar sakte hai. Matlab aapke funding goals aadhe rasste hi toot jaa sakte hai.

 

Ab sawaal ye hai ki Government, already kharab economy se joojhti hui deshwasio ko aisa jhatke pe jhatka kyun de rahi hai?

 

Jawab ye hai ki India ke small and medium scale industry and investment sector ki halaat itni zyada kharab ho chuki hai ke aane waale dino me inka market me tike rehna hi mushkil ho sakta haia ur bahut saare smalll and mid cap funds exit ka raasta le sakte hain. Shayad is situation ko sambhal ne ke liye hi government ne aisa rasta chuna hai taaki kuch acche mid and small cap funds pe investors ki nazar pade aur wo survive karein. Long run pe iska impact dekhana interesting hoga ye kya investors ko isse fayda pahuchta hai ya fir categories ko rebrand karke Multica funds is total process ko ignore karti hai. Is topic pe humari nazar bani rahegi, aap jude rahein humare saath aur blog ko subscribe karein aur post ko like, share and comment karein.

 

Post a Comment

0 Comments